संदेश

नवंबर, 2017 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं
Chand ke setalta oodhy naram sardeyo may Taro ke chaw may chamakte jugnuo ke rosni may Maa ne muje garam saal may lipte  kuch loreya sunai the Un loreyo ke garmahat may aaj mene bhe apne nanhe ko lapet kar sukun se sulaya h Aur apne maa ke yado ko jyu ka tyu apne sene may chepaya h
Chehare ke erd gred ubhare lakiro may Jab mene yu he nehara darpan to Mujhe wo ajnabi chehara nazar aya Jese may bhul gye ti barso pahale
Waqt ke dareya may bahkar Dekho hum kaha aa gye h Jaha n koi apna h n koi gair Sab kuch tanha tanha aur hum akele Kyu shaq kare hum gairo par Jab koi apna he hame daga de gaya Kitna ajeb dastur h duneya ka ke Daga koi kare aur shaq hum kise aur par kare
Jhulaste garmi may baraste badalo sa tera ehsas Bahate dareya may samaye chand ke rosni sa tera ehsas Kheto may lahrate kanak ke baleyo sa tera ehsas Jangalo may ugte palas ke surkh ful sa tera ehsas Seep may samaye shant   sawach  nermal  moteyo sa tera ehsas
Akelepan ke sirhane takeye se satkar jo mundi palke Yado ke remjhim may fir bhig aye mere palke Kuch der ke leye tu fir lota tha mere yado may Tu khamos tha may bhe khamos ti hamesa ke tarah palke khuli to dekha takeye ka kona gela tha hamesa ke tarah
Jakhmo ko site site hatho may Chale ubhare the Par dil hatho ke chalo se bekhabar Jakhmo ko khamose ke sath silne may laga tha
चित्र
        May ruthi ti tumse tum ruthe the muzse Aur chand tare ruthe the aasma se  Barese ruthi the sawan bhado se Ghar ka aangan rutha tha apno se Esmay bin mosam bares ke dastak ne sabko khus kiya tha Jaise holi may udte gulal depawali may saja deep serengar

Man

Agar kabhi man kare rone ka to aa jana      sath milkar man halka kar lege Agar kabhi man kare khamos rahane ka to aa jana sath milkar bant lege ek dusre ke khamose Agar kabhi man kare bete bato ko yad karne ka to aa jana ek dusre ke sath yado ke samundar may dubke laga lege Agar kabhi man kare tanha rato may tare genne ka to aa jana dono milkar taro ke sath us dhurub tare ko bhe dhund lege Agar kabhi man kare apne ap ko khone ka to aa jana sath milkar kho jayege es bhid bhare duneya may

Gulabi shardeya

चित्र
Ye garam gud ke sondhi khusabu se naram gulabi shardeya Aodhy baithe h gungune dhup ka lehaf Aur kar rahe h entjar Mumder par baithe garam saal may lipte logo se khud ke taref sunne ka Chudeyo se saje sawetar bunte hatho ka Bachho ke patang ke dor thamay shor ka Mungfali chilkar rakhte aur khus hote salwato bhare hatho ka Sab ke fursat ke pal churane ko bekarar hui ja rahe h Aur kise ko bhe apne es chori ka afsos nahi Kyuke gungune dhup ke sath unhay anjane apno ka apnapan mil jata h kuch der ke leye.                 

Shyari

Mere hasi Jo takrai mere galo ke dempal se To mere kano ke jhumako ne ankho ke kajal se eske sekayat kar de Kajal ne bendeya se eska raj janne ke leye kaha to bendeya ne mathe ke jhumar ke sath milkar mere chehare par bekhare lato se pucha to lato ne kaha Ye hasi to mere wajah se ti

Shyari

Samjhoto ke gahano se lade tat ke paiband se saje resame sade may lipte estare Jab pahuche sasural ke dehare par to Ghungut ke ot se takte apne naye resto ko dekh man he man khus hote Par dusre he pal apni nai maa ke bate sun man kasela kar tyrant he lepat gye apne purani maa ke yado se

Shyari

Humne unhe chaha tha es kadar ke Hame hamare chahat par shaq hua to unhe khud par gurur Unhone gurur may sab kuch toda aur humne shaq may sub kuch choda Aur ban gye fir se ajnabe
Bhege mosam may bhege gulab ke khusabu se ti may Aur tu bhatakte raho ka bhatakta musafir Hum aur tum yu he takra gye the bhege mosam may Tune muje dekha mene tuje dekha Tu mere khusabuo may ud gya aur may tere uljhano may fas gye Jo may gye tujhe tere hone ka ehsas delane to khud ka ehsas gawa baithe Aur ban gye bena khusabu bena muskurahut ka khgaz ka gulab

Shyari

Shard rat may setaro ke mahfil saje thi Aur us mahfil may chand gumsum sa baitha tha Kyuke az uska dedar kar khus hone wale Use tanha chod kar apne gharo may dubak gye the

Shyari

Ye kisa safar h yaha n manjele h n rahi Bus faile h bekhof sharpele rhahay Aur unmay regestan may ret sa bhatakta tu

Shyari

Yu he tanha baithe baithe jab palke band ke To kuch neem ke nebole se bate yad aye To kuch am se rasele bate yad aye Lekin jab ankhe khuli to khud ko Baraste badalo ke shor may bhe akela paya

Mere pahale post

चित्र
      Bajare ke garm roti par Peghalte gud ke sondhi khusabu se maa Hamare basate may apna Bachpan dhundti maa Apni jarurte najarandaz  karte aur hamare shok pure karte maa Ghar ke daraz may paid purani album may Ladki jise maa