Kasak

Kabhi apne sapno ko jene wali az apne sapno ko bhul chuki h
Jite h auro ke sapno ko jo uske hokar bhe uske apne nahi
Kya sach may shadi ke bad ek ladki ke jendage etne badal jati h
Aur shadi ke kuch saalo bad aksar ye kahti pai jati h
Mera bhe padne ka bahut man tha par Unhone kaha tumhe kon sa nokri karni h ghar may kis chij ke kami h, sasu maa ne kaha hamare yaha bahuye ghar par rah kar ghar samhalti h beta aur sabne muze apne apne tarah se samza deya aur mene sabke khusi ke leye khusi khusi apne padai chod de
Bahut bura lagta h jab may piche mud kar dekhti hu kyuke ab sab apne apne duneya may Jite h bacche bade ho chuke h aur may patidev ke leye sirf  ghar samhale wali mera koi wajud nahi may kise ke leye kuch nahi ab koi mera nam bhe nahi janta sab ke leye may sirf ek maa aur patne hu
Aur mere pahchan mere flat ka no. h  bus aur kuch nahi
Ye us ladki ke pahchan ban gye jo kabhi apne maa se ladte hue kahte the may kise ke nahi sunne wali apne sapne pure karke rahuge


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

उस पार जाऊँ कैसे....!!!

पीड़ा...........!!!

एक हार से मन का सारा डर निकल जाता है.....!!