संदेश

Malpuay sa az ka din

चित्र
Az ke subah khubsurti ke sath dudh ka ubal kar chulhay par bhekhar jana Sabji ka jal jana,  rotiyo ka kadak ho jana Kamwali bai ka chutti kar jana Baccho ka school bus chut jana , patidev ka let ho jana aur fir unka gusse may office n jana Az muze bahut sukun de raha tha kyuke sab thode se gusse ke bad khus the kyuke sab chutti par the aur apne apne pasand ka kam kar rahay the Yahe to hota h hum sabke sath kabhi kabhi aur hum dukhi hote h ye Soch kar ke az ka to din he kharab tha Lekin may az khus the ye Soch kar ke ye sab to hota he rahta h may waqt ko apne mutthi may kaid karne ke nakam kosis kyu karu ese to bahtay rahana chaheye hamare soch may bhe Aur mene az ka din ese jeya baccho ke sath baccha bankar , pati ke sath uske premeka bankar Ese mere ghar malpuay sa mahka , khir ke khusabu sa muskuraya              
Mere chandi ke payal may kuch tar nakle chandi ke jad de sunar ne Muze kya pata tha mera naseb banane wale ne to bahut pahale he badnasebe ke kuch lakire mila de ti mere kismat ke lakiro may

Shyari

Mere gum may mere ansuo ka bahate jana Tera akar bhe bahana banakar chale jana Share gele sekwo may mere hotho ke muskurahat ka kho jana muze yu laga Jise shukhi banjar zame ko kantele taro se bandh jana 

Shyari

Mere palko may kaid tere panele ankhe Meray hotho may kaid tere wo sanjeda bate Meray jewan may kaid tera wo akar jana Ye sab kuch muze yu tod raha h jise motiyo ke mala ka bahti sadak par bekhar kana

Sukun

May aur app sab aksar yahe socha karte h ke mere he kismet ese kyu h Kash mere jendage may bhe wo sab hota jo may sochta hu Kya sach may esa ho jata to hum khus ho jate Ha shayad ho jate lekin Ye Sagar ke gahraio may jo tumne aur mayne dubki lagai h munge , aur motiyo ko pane ke lalach may ye khusi to hame bazar se bhe mil jati rupeye dekar N tumne ye socha n mene ye soch bus dono ne laga de dubki Hum do pal thahartay aur dubki lagate samundar may samai khubsurti ko dekhne ke leye, rang berangi machleyo sang atkheleya karne ko, samundar ke gahrai may chepe makhmali shaywall ko dekhne ko Fir jo hum ate samundar se bahar to hamare chehare par milta wo sukun jo bikta nahi h bazaro may par her koi kharedna chahta h

Safar yado ka

Betay waqt ke yado may sematkar her pal bada hota uske yado ka safar Kabhi palas ke fullo surkh lal hota , to kabhi mogre sa mahakta , to kabhi sukhe gulab sa ketabo may kaid ho jata , to kabhi ankho se bahkar galo ko namkin karta Wo kabhi yado ke samundar may dubki lagati to kabhi laharo par chalne ke kosis karte Jaise koi navyowana kise ke pyar may padkar apne sunhare bhavesya ke kalpana may aur nekharte ja rahe ho Esay he yado ke jugali may uske bojhil palke kab nind ke jugunuo se ja mile usay pata bhe n chala Lekin az subah jab uske nind khuli to usay esa laga jaysay fullo se ettra churakar lai dhup ke sath chedeyo ke baraat khadi ho uskay entazar may Aur wo bhe apne kismat ke lakire apne hatho may sametkar chal padi naye yado ke safar par

Khamosi

Tum chandni rat ke chand se puchna ke aksar mere tanhaio may jikar kiska hota h Agar wo khamosi se muskura de to samaz jana ke jikar tumhara hota h