संदेश

दिसंबर, 2017 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Malpuay sa az ka din

चित्र
Az ke subah khubsurti ke sath dudh ka ubal kar chulhay par bhekhar jana Sabji ka jal jana,  rotiyo ka kadak ho jana Kamwali bai ka chutti kar jana Baccho ka school bus chut jana , patidev ka let ho jana aur fir unka gusse may office n jana Az muze bahut sukun de raha tha kyuke sab thode se gusse ke bad khus the kyuke sab chutti par the aur apne apne pasand ka kam kar rahay the Yahe to hota h hum sabke sath kabhi kabhi aur hum dukhi hote h ye Soch kar ke az ka to din he kharab tha Lekin may az khus the ye Soch kar ke ye sab to hota he rahta h may waqt ko apne mutthi may kaid karne ke nakam kosis kyu karu ese to bahtay rahana chaheye hamare soch may bhe Aur mene az ka din ese jeya baccho ke sath baccha bankar , pati ke sath uske premeka bankar Ese mere ghar malpuay sa mahka , khir ke khusabu sa muskuraya              
Mere chandi ke payal may kuch tar nakle chandi ke jad de sunar ne Muze kya pata tha mera naseb banane wale ne to bahut pahale he badnasebe ke kuch lakire mila de ti mere kismat ke lakiro may

Shyari

Mere gum may mere ansuo ka bahate jana Tera akar bhe bahana banakar chale jana Share gele sekwo may mere hotho ke muskurahat ka kho jana muze yu laga Jise shukhi banjar zame ko kantele taro se bandh jana 

Shyari

Mere palko may kaid tere panele ankhe Meray hotho may kaid tere wo sanjeda bate Meray jewan may kaid tera wo akar jana Ye sab kuch muze yu tod raha h jise motiyo ke mala ka bahti sadak par bekhar kana

Sukun

May aur app sab aksar yahe socha karte h ke mere he kismet ese kyu h Kash mere jendage may bhe wo sab hota jo may sochta hu Kya sach may esa ho jata to hum khus ho jate Ha shayad ho jate lekin Ye Sagar ke gahraio may jo tumne aur mayne dubki lagai h munge , aur motiyo ko pane ke lalach may ye khusi to hame bazar se bhe mil jati rupeye dekar N tumne ye socha n mene ye soch bus dono ne laga de dubki Hum do pal thahartay aur dubki lagate samundar may samai khubsurti ko dekhne ke leye, rang berangi machleyo sang atkheleya karne ko, samundar ke gahrai may chepe makhmali shaywall ko dekhne ko Fir jo hum ate samundar se bahar to hamare chehare par milta wo sukun jo bikta nahi h bazaro may par her koi kharedna chahta h

Safar yado ka

Betay waqt ke yado may sematkar her pal bada hota uske yado ka safar Kabhi palas ke fullo surkh lal hota , to kabhi mogre sa mahakta , to kabhi sukhe gulab sa ketabo may kaid ho jata , to kabhi ankho se bahkar galo ko namkin karta Wo kabhi yado ke samundar may dubki lagati to kabhi laharo par chalne ke kosis karte Jaise koi navyowana kise ke pyar may padkar apne sunhare bhavesya ke kalpana may aur nekharte ja rahe ho Esay he yado ke jugali may uske bojhil palke kab nind ke jugunuo se ja mile usay pata bhe n chala Lekin az subah jab uske nind khuli to usay esa laga jaysay fullo se ettra churakar lai dhup ke sath chedeyo ke baraat khadi ho uskay entazar may Aur wo bhe apne kismat ke lakire apne hatho may sametkar chal padi naye yado ke safar par

Khamosi

Tum chandni rat ke chand se puchna ke aksar mere tanhaio may jikar kiska hota h Agar wo khamosi se muskura de to samaz jana ke jikar tumhara hota h

Akelapan

Subah mogre se , sham gulabo se, aur rat ratraane ke butoo se Fir bhe dhundle samo se udasi chai cheharo par Khubsurat cheharo par hasi may lipta akelapan Ese he akelepan may jab may gye kise mahfil may sukun dhundne to muze waha her chehare ke piche ek chehara dikha Hatho may jam leye, hotho par jam sajaye Bejan hasi may lipta her ek akela dikha

Pane ke bulbule

चित्र
             Sagar ke do kenaro se ti tere mere jendage Ek dusre se dur bahut dur par fir bhe pas pas Hame to joda tha Sagar ke laharo ne, waha chalti kisteyo ne, waha tairte machleyo ne , waha chalti hawao ne Fir jo may aye to tum yu hasay jise koi band kali khali ho Barkha ke bunde sawate nachatra may ship may gere ho Setaro se saje aasma may dhurub tara chamka ho Dhan kheto may kanak sang bajare ke baleya lahrai ho Tere muskan yu udi hawao may jise pane ke bulbule uday ho hawao may
चित्र
N tere tutne ke ahat hui N mere bekharne ka kise ko pata chala Dono apne ansuo ko bares ke bundo may chepate rahay Aur bejan hasi se apne cheharo ko sajate rahay

Sukun ke chah may

चित्र
       Kya tumne suni h hawao may udti ret ke sarsarahat Kya tumne suni h hawao may udti sukhe patto ke jhanjhanajat Kya humne suni h fullo par udti tetleyo ke fusfusahat Ha sach may Kabhi man kare es dodti bhagti duneya may bhe kuch sukun pane ka to chale jana en apno ke bich jo tumhay  tumhara entazar karte mileage

Ansu

Mere ansu aksar mere tanhaio may mera  sath dene chale ate h Par unhay kon samzaye wo muze aksar bhare mahfil may bhe dekhne chale ate h Aur muze unhay apne rumal may chepana padta hans

May aur tum

Mere tanhaeyo may May the , tum the, aur baraste badalo ke bunde the N tumne kuch kaha n mene kuch kaha hum bus Jami se takrati bundo ke awaz ko sunte rahay Aur ek dusre ko yu dekhte rahay jise aasma jami ko
Az mahobat ke misal bane tajmahal ke ronak may bhe bahati hawao may sunapan lag raha tha Wo sunapan mere dil may pasra tha may khoi the unmay mumtaj bankar Aur tum khoye the apne numaendgi ke misal bankar
Her sherengar ke fullo se jhdti ti tere mere hasi Rajnegandha se muskurati ti tere mere hasi Hum tum milte the apne apne khawabo may Aur subah se sham tak yu he mahakte the ek dusre ke yado may

Kasak

Kabhi apne sapno ko jene wali az apne sapno ko bhul chuki h Jite h auro ke sapno ko jo uske hokar bhe uske apne nahi Kya sach may shadi ke bad ek ladki ke jendage etne badal jati h Aur shadi ke kuch saalo bad aksar ye kahti pai jati h Mera bhe padne ka bahut man tha par Unhone kaha tumhe kon sa nokri karni h ghar may kis chij ke kami h, sasu maa ne kaha hamare yaha bahuye ghar par rah kar ghar samhalti h beta aur sabne muze apne apne tarah se samza deya aur mene sabke khusi ke leye khusi khusi apne padai chod de Bahut bura lagta h jab may piche mud kar dekhti hu kyuke ab sab apne apne duneya may Jite h bacche bade ho chuke h aur may patidev ke leye sirf  ghar samhale wali mera koi wajud nahi may kise ke leye kuch nahi ab koi mera nam bhe nahi janta sab ke leye may sirf ek maa aur patne hu Aur mere pahchan mere flat ka no. h  bus aur kuch nahi Ye us ladki ke pahchan ban gye jo kabhi apne maa se ladte hue kahte the may kise ke nahi sunne wali apne sapne pure karke rahuge...

Remjhim yade

Nanhe hatho ko nanhi khusiya sametne ke chah ti Maa ke mamta un par newchhawar ti Pita ke datt meharban ti Ye dekh us ghar ke angan ka budha darakhat kuch khus hua kuch paresan hua Kyuke usko ye dekh khud ka bachpan khud ke jawane sab ka dular yad aa gya Lekin wo chup-chap un sabko neharta raha

Ehsas

Wo pahado se gerti geli subah ke lalema Jhilo may bekhari motiyo ka ehsas karati pani ke bunde Nele aasman may udte dudheya badalo ka jhund aur us jhund ke niche udte pancheyo ka shorr Mere badan ko chuti sirhan ko sabak sekhane jo may pahuchi chhat par etrati dhup ka sahara lene to muje dhup se bate karte tum mile Fir dhup sang may bhe bahe tere bato ke rasdhara may Us rasdhara may bahte bahte hum tum pahuche Badalo ke sair par , pancheyo ke gharo may, fullo ke baago may n jane kaha kaha ke sair kar aye hum bato ke rasdhara may bahkar Fir dhalte sham ke fekar may apne apne gharo ko loute hotho may makhmali hasi samete

Dosti

Yu he kagaz ke kasti ne laharo se khud ka soda kar leya aur laharo ne apne shari jaan lagakar use dubane ka faisala kar leya Ye dekh kagaz ke kasti ko hasi aa gye kyuke laharo ke samne wo apne ookad janti ti par lahare shayad ye bhul gye ti Fir kagaz ke kasti jo chali laharo par to chalti he gye kyuke ab laharo ke kagaz ke kasti se dosti ho gye ti
Ye kisa manjar h waqt ko bhe waqt chaheye Bhatakte raho may manjile talasne ko Bahate waqt ke dareya may samati hamare jendageya Aur en jendageyo se bahati hamare lachari 
Kya hua jo ye sitam tere sath hua Tu tut mat tera wajud usse bada tha bada h Tere andar to wo hunar h jese apnane ke leye log taraste h Khuda to tera emtehan le raha h ke tuze jes hunar se nawaza tha wo tuz may ab bhe h ya udd gya jamane may

Jindage ka anubhawa

चित्र
Jendage ke sakh par anubhawa ke jhadeyo may attke kasele, kantele full En fullo se madhu ke khusabu aa rahe h Par enmay samaye h vish es vish ke espars mater se ensan ban gya patther jese kise bhe rup may dhalo unmay se n khusabu ati  n khusi chalakti h , aur n sukun millta h Bus milti h ek khubsurat murat
चित्र
           Tum yu chal rahe the jise sagar may koi pyasa Tum yu bah rahe  the jise ret ke tufan may ret ka dareya Tum yu khoye the jise amawasya ka chand Tum yu soye the jise bhare dopahar may koi jagta sapna Tumne kaha tum ek shayari ho jese padhkar muje sukun milta h Mene kaha tum padhne ke laye sirf ankho ka estemal karte ho aur may padhne ke laye dil ka estemal karte hu Tum muje padhkar bhe padh nahi pate ho aur may tumhe bin dekhe ese padh lete hu jise ret ke samundar may kuch bunde nami ke pakar uge hari ghans may kuch pele , kuch lal , kuch safed ful

Bunde

Cham Cham ke awaz se nachti ye bunde Hatho par atkheleya karte ye bunde Bin ghungharu pairo ko tall dete ye bunde mere chehare par motiyo se bekhare ye bunde Hotho ko bin shabdo ke geto se sajati ye bunde Bares may chamakti ye bunde to dekho kise setalta oodhy baithe h Runjhun mosamo ka ye serengar to dekho pure werekch ke attaleka par machal machal raha h Aur shara serengar uske pass ja kar etra raha h

Wechar

Wecharo ke adhkhuli pankhudi Narm makhmali gulabi shardeyo ke  rat ka sunapa Pasara tha dil ke her kone may jise chand akela khada ho aasman ke bazar may Mene khud ko narm rajai may yu lepeta Jise koi bachha dar kar lipta ho maa ke anchal se Bhari hui palko ko aazad keya yado ke jemjhim se Mere yado may tum bar bar aye, fir may roi jar jar Mene tumse kiye bahut share sawal aur uske jabab bhe mene khud deye bena tumhare entazar ke Fir n jane kab ankh lage aur may aazad hui akelepan se pahuche sunhare sapno ke duneya may Subah jab ankh khuli to mene man par jame oos ke bundo ko peghalane ke leye tapte suraj ka aalengan kiya Aur jendage ke udan may shamil hui parendo sang

Shyari

Usne muz par eljam lagaya ke tere julfo ke Saye may mene khud ko khoya tha Tere sanso may maiy uljha tha Tere rang rup may maiy uda tha To may halke se hasi aur mene kaha ye sab tere eljam kab se huye ye eljam to mere the Ye sab kah kar tumne muje bahkaya tha

Shyari

Mere jene ke wajah tum ban jana Tere jene ke wajah may ban jauge Hum yu chalege safar may sath sath Jise setaro ke chaw may chamakte do jugunu Sagar ke laharo may chalti do kisteya Ambar may chalte chand aur suraj
Jendage may thahare akelepan ke ub Kise dopahar jo mene bate ke khud se To ankho ke kono may ayi nami ke bunde Aur us bundo may samaye hamare uljhe resto ke dor Khud may apnapan samete , khokhale reste Resto ke garema jo may dhundne chali to paya Khacche dhago may lipte kuch najuk reste Kya ye reste etne najuk hote h Kanch ke chudeyo ke jise , mitti ke kacche ghado ke jise Hum Kyu nahi kar pate h esmay dosti ke milawat Kyuke jaha dosti hoti h Waha sukhi ghass may bhe nami bhare badalo ke ummd jag he jate h Bares may chamakte endardhanuso jise chamak aa he jati h

Dil se shyari

Hasi ke khanak may dard ke aah chupi ti Ankhe juba ka kam kar rahe ti aur hote sirf halke se muskura rhahay the  Jo mene tumse pucha kese ho to tumhare hasti ankho ke koro may nami ke bunde chamak ayi ti aur tum sirf etna bol paye sab upar wale ka karam h Aur may tere bin kahe shabdo ko bhe tere ankho may path rahe the Jise ujale neele shayahh aasman tale chedeyo ka joda naha raha ho dhul may

Shyari

Dil ke kone may jo chepa tha dard hamara Wo dard ab hamara Chen tha sukun tha Humne use ankho ka pata bhe nahi bataya tha Kyuke ankhe hame hamare dard se juda kar sakte ti

Shyari

Jo mene apne ansuo ko bares ke pane may cepane ke kosis ke to badalo ne kaha  Hum to roye the pahado ke takrane se tum Kyu roi  To mene kaha may roi ti apke espars se 

Uljhan

Umar ke ek padaw par aakar resto ke gahrai ko jankar bhe n Jan paye hum resto ka sach Kuch ankahe reste kuch ansuljhe reste Aur en kachhe dhago jise resto may uljhe hum

Sekayate

En sekaway sekayato ke bange to dekheye Fali h her taraf Jangalo ke amar belo se Eske ful kasele h aur fal kadway Fir bhe jangal ke her kone ko apne baho may sametne ko bekarar h aur ensan lachar taak raha h

Soch tere mere

चित्र
Kya kabhi kise gulab ko kanto ke chubhan se rote dekha h Kya kabhi kise kamal ko uske kechad se naraz dekha h Kya kabhi kise ped ko chedeyo ke chachahat se paresan dekha h Kya kabhi kise baag ko bares ke remjhim may udas dekha h Kya kabhi kise bache ko uske sararto se dukhi dekha h Nahi n To fir hum tum kyu paresan h  apne apne jendageyo may ayi uljhano se Chalo ek baar fir se apne share paresaneyo se kenara karte h aur apne apne bachpan may lot jate h Aur apne hotho may dabi hasi se apne murjhaye chehare sajate h

फिर से जी लो जिंदगी

चित्र
       Yu he kuch khuli kuch band palko se tum ek sapna buno fir se Aur us sapne ka kenderbindu tum bano Bhul jao mathe par ayi lakiro ko Yad karo fekar se saje bachpan ke wo dant fatkar Tarun awastha ka wo alhadpan , jawane ka jos , befekare aur kareyar ke chinta may dosto ke hasi mazak Aur ane do apne hotho par wo halki hasi Us halki hasi may  ji lo fir se wo lamha
Mere duneya semti the muzmay aur may semti ti khawabo may Mere khawab may  maiy ti , mera udta anchal tha , lahrati kali ghataye ti , mere chehare ko espars karte megho ko barek bunde ti , wo her chij ti jo mere muskurane ke wajah ti Par khawab to khawab hota h ek din tut jata h
Mene kore khgaz may khelate shabdo sa tuje piroya tha Tere bin kahe shabdo ko badhane ke kosese ke the Tere raho may yakin ke shabd bechane ke koseso may mere pair fesale the aur may chali ti kanto bhare pagdandi par Mere pair may Chale pade the  jism se khun ris raha tha Aur tu laparwah aandheyo may ret sa ud raha tha
Ankhe roi ti  hote hase the  dil khoya tha Aur jism apne raftar se chal raha tha
चित्र
               Ret ke samundar may jab hawa chali to ret ka gubbar uda Sagar may laharo par jab hawa chali to nami ka gubbar uda Baraf se dhake wadeyo may jab hawa chali to serhan douri raftar se Tere mere jendage may jab uljhano bhare jawalamukhi futi aur lawa baha to hum samjhoto ke baag se kuch bunde nami ke chura laye 
Manjil dur the safar lamba aur tanha tha Kahe dur se ati loo ko humne apna samaz jo paas gye to wo kabrestan ka jalta deya tha
Apnepan ke chahat may  maiy gairo ko apna man baithe Jab eska ehsas hua tab tak wo badalte retuo se badal chuke the Aur may tanha udte rui se badalo ke neche pancheyo ka shor sunte rahi
Aaj mere ankho se neer baha aur mera surma fail gya To Unhone pucha ye surma kise faila To mene kaha aaj samundar may tufan aya tha to kuch lahare mere dil se takra gye Aur mera surma fail gya